Ghazal : Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi

Lyrics : Obaidullah Aleem

Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi
So Maine Jeevan Vaar Diya
Mein Kaisa Zinda Aadmi Tha
Ek Shakhs Ne Mujhko Maar Diya

Yeh Sajaa Sajaya Ghar Saaqui
Meri Jaat Nahi Mera Haal Nahi
Aye Kaash Kabhi Tum Jaan Sako
Jo Iss Sukh Ne Aazaar Diya

Mein Khuli Huie Ek Sachchai
Mujhe Jaan ne waale Janate Hai
Meine Kin Logo Se Nafrat Ki
Aur Kin Logo Ko Pyaar Diya

Woh Ishq Bahot Mushkil Tha Magar
Assan Na Tha Yuun Jeena Bhi
Us Ishq Ne Zinda Rehane Ka
Mujhe Zarf Diya Pindaar Diya

Woh Yaar Ho Yaa Mehaboob Mere
Yaa Kabhi Kabhi Milane Waale
Ek Lazzat Sab Ke Milane Mein
Woh Zakhm Diya Yaa Pyaar Diya

Ghazal : Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi

Ghazal: Mere Jaise Ban Jaaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega

Lyrics : Sayeed Rahi

Mere Jaise Ban Jaaoge
Jab Ishq Tumhe Ho Jaayegaa
Deevaaro Se Sar Takaraaoge
Jab Ishq Tumhe Ho Jaayegaa

Har Baat Gavaaraa Kar Loge
Mannat Bhii Utaaraa Kar Loge
Taabiz Bhi Bandhavaaoge
Jab Ishq Tumnhe Ho Jaayegaa

Tanhaai Ke Jhoole Khuulenge
Har Baat Puraani Bhulenge
Aaine Se Tum Ghabaraaoge
Jab Ishq Tumhe Ho Jaayegaa

Jab Suraj Bhi Kho Jaayegaa
Aur Chaand Kahi So Jaayegaa
Tum Bhi Ghar Der Se Aaoge
Jab Ishq Tumhe Ho Jaayegaa

Bechaini Badh Jaayegi
Aur Yaad Kisi Ki Aayegi
Tum meri Gazale Gaaoge
Jab Ishq Tumhe Ho Jaayegaa

Ghazal: Mere Jaise Ban Jaaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega